Premchand ka cinema se jo rishta hai uska
andazaa isi baat se lgaaya jaa sakta hai ki jab Bharat k sabse mahaab Director
Satyajeet Ray ne Hindi me film banane kee sochi to unhone aur kisi aur khaani
ko na chunkar Premchand ki khaanhi SHATRANJ K KHILARI aur SADGATI ko chuna.
Premchand ke sahitya ko yadi vastavik sahitya khaa jaye to ek aana bhi ghalat
na hoga kyonki vastvik sahitya use ko khaa jaata hai jo samaaj ko uskee haqiqat
se Ru Ba Ru karvaye aur Premchand ke sahitya ne samaaj ko jo darpan dikha diya
hai shayd hee uskee koi misaal ho.Premchand ne apne novels aur khaaniyon ke
madhyam se hme btaya ki jis samaj per hme abhimaan hai usi samaaj “halku,dukhee
, hamid,ameena,nirmala,prema aur na
jaane kitne in jaise log bhi nivaas karte hai” premchand k sahitya kee
sabse badi visheshta yah thee ki premchand ka sahitya samaaj se baat karta hua
nazar ataa hai kyuki aaj bhi hmare samaj me “dukhee,halku aur ameena” jaise
logo kee koi kami nhi hai aur jab inke sahityaka filmantaran hota hai to jo
vastavikta pad kar dil ro jaata hai use dekhkar aansoo bhi laal hona chahte
hai.Satyajeet Ray k atirikt Gulzar AUR mrinal Sen bhi premchand sahitya ka filmantaran
kiya hai jo apne aap me hee bhut mahaan hai. Premchand pahle ‘navaab dhanpat
rai’ kenaam se likhte the aur baad me unhone ‘premchand’ k naam se likhna shuru
kar dia aur hmesha usi naam se likha.Premchand jitney Hindi k hai utne heeUrdu
ke bhi.AUR aJ bhi jab premchand k Sahitya par kisi film ka nirman hota hai to
uska mhatv khi per se kam hota nhi dikhai deta hai. 8 october 1936 ko matr 56
varsh kee age me is mahaan sahityakaar ka nidhan ho gya.lekin premchand apne
sahitya ke madhyam se aaj bhi zinda hai.
No comments:
Post a Comment