Friday, April 10, 2015

GEETO KA JADUGAR

Poore sansaar me agar Hindi cinema ko koi cheez baqi cinema se alag bnaati hai to vo hai Hindi filmo me gaano ya geeto ka hona.Hindi cinema ke itihaas me ek se ek geet likhne vaala ayaa hai lekin un sabhi geetkaro me ek geetkaar ka naam bhut hi vishesh hai aur jise dunia GETO KE JADUGAR ke naam se jaanti hai. Is jadugar ka naam hai SAHIR LUDHYANVI. Sahir un logo me se ek hai jinhone bhut hee kam samay me me shohrat aur dhan paida kiya. Ye keval geetkaar hee nhi the balki Urdu ke ek bhut hee bde aur motbar shayar bhi the.Sahir ke father ek bhut hee ayaash qism ke insaan the aur unki inhi harkato se tang akar Sahir ki Ma ne unka ghar chod diya aur apne bhai ke  yhaa rahne lagi. Sahir ka bachpan unke mama ke ghar me bita.Mama ke ghar me unka bachpan bhut hee ghurbat ke saath bitaa. Aur inhi halaato ne Sahir ko shayri karne par vivash kar dia aur uch shiksha hasil karte samay sahir bhut hee qayede seshayr ban chuke the isi beech unki mulaqat AMRITA PRITAM se hui aur dono ka pyar parwaz chada lekin phir na jaane kya aisa hua ki dono ko alag hona pada.Sahir ne apne jivan me itne Dukh dekhe ki vahi sab unki shayri me bhi nikla aur unke pahle diwaan ka na haiTALQIYAN ab isi naam se unke dukhon ka anumaan lgaya ja sakta hai ki unhone kitne dukho ka samna kiya.1948 me sahir Mumbai aa gaye aur shuru me to safal nhi hue lekin jaise hee PYASA ke geet likhe phir to SAHIR vo SAHIR ban gaye jiske geet sunkar log aaj bhi anand lete hai.25 October 1980 ko sahir ne antim sans lee aur uske baad is sansaar ko chodkar chale gye.

Thursday, April 9, 2015

KHOOBSURTI KI MISAAL

Pyar ke din 14 february 1933 ko Delhi me janmi Mumtaz  Jehan Dehalvi  jo ki poore sansaar me Madhubala ke naam se jani jane vaalee hindi cinema me apna ek ala ghee muqam rakhti hai. Jab kabhi bhi sabse zyada khoobsurat actress ki baat hoti hai to aaj bhi un sabhi me Madhubala se zyada khoobsurat kisi ko bhi nhi mana jaata hai aur aajbhi jis actres ke sabse zyada poster bikte hai vo koi aur nhi balki Madhubala hee hai. Kitne tajjub ki baat hai pyar kee date khi jane vale din bhi paida hokar inhe vo pyar aur mohabbat kabhi nhi nasib hua jiski vo haqdaar thi.ghar ke haalat theek na hone ki vajah se inke abba Delhi se Mumbai aye aur yha par Madhubala ko apne parivaar ke liye filmo me kaam karna pdaa.Inki pahli film thi  neel-kamal  jo filop hui lekin Madhubala hit.iske baad to inhone kabhi bhi peeche mudkar nhi dekha aur ek ke baad ek filme ki. Inhi filmo se Madhubala ne itne rupaye jod liye  the ki 1947 me  Mumbai me refugee aye the unke liye inhone pure 50 hazaar ka daan diya tha.Madhubala ko “AMAR,CHALTI KA NAAM GAADDI,MR AND MRS 55,BARSAAT KI RAAT aur hindi cinema ki meel ka paththar khi jaane vaali film MUGHAL-E-AZAM” ke liye to yaad kiya hee jaata hai lekin sabse zyada inhe yaad inki be panah khoobsurti ke liye yaad kiya jata hai. Madhubala Dilip Kumaar se prem karne ke saath unhi se vivaah bhi karna chahti thi lekin shayd qismat ko ye vivaah manzoor na tha aur unka vivah Kishor Kumaar k saath hua.Madhubala ke DIL me chend tha aur isi bimaari ki vajah se 1969 ko inhone is sansaar ko tyaag dia.

Wednesday, April 8, 2015

KHUD ME VISHESH

Baat jab Hindi cinema ke sabse achche directors kee hotee hai to usme MAHBOOB KHAN APNA vishesh mhatav rkhte hai. Inka janm  me Gujraat rajya ke Bilimora,Baroda me 1907 me hua tha.Mahboob ne apne filmy carior ka aghaaz Bharat ki pahli bolti film ALAM ARA se kiya hlanki is film me inka koi khaas kaam nhi tha phir bhi mahboob aage bdhte chale gye aur 1935 meAL HILAL ka Nideshan kiya aur uske baad inkee “Manmohan,deccan queen,Jagridar,Hum tum aur vo  aadi”  kai ek ke baad ek kai filme aai lekin inhe jis filmse pahchaan mili vo film 1940 me release hui AURAT thi jise baad me MOTHER INDIA ke naam se bhi bnaya gya.Mahboob un logo me se the jinhone bhut hee neeche se shuruaat kee aur bhut hee upar tak gaye.jab mahboob ek baar aage bad gaye uske baad inhone dubara peeche mud kar nhi dekha  Aurat ke hee baad se inki ginti top ke nirdeshako me hone lagi uske baad Mahboob ko jis film se sabse zyada kamyabi mili vo thi ANMOL GHADI aur  ANDAAZ jo DILIP KUMAR aur RAJ KAPOOR ki pahli aur akhiree film thi aur is film ke zariye mahboob ne bhut hee achche tariqe se dikhaya ki jab ek ladki ek purush ko dost maanti hai to samaaj uske bare me kya sochta hai yha tak ki ladki ka pati bhi.Mahboob ne jivan ke bas 57 hee savan dekhe aur itne kam samay me unhone 22 se zyada filmo ka nirdeshan kiya aur unki mhaan rachna MOTHER INDIA aj bhi bharat ki sabse behatreen filmo me gini jaati hai, iske alava ye baat bhut hee kam log jante hai ki mahboob ne 4 filmo me acting bhi ki aur 2 filmo ko likha bhi. 28 may 1964 ko SON OF INDIA ke filop ho jane ke sadme se is mhaan nirdeshak ne sansaar ko alvida kah dia.

Tuesday, April 7, 2015

PREMCHAND AUR CINEMA

Premchand ka cinema se jo rishta hai uska andazaa isi baat se lgaaya jaa sakta hai ki jab Bharat k sabse mahaab Director Satyajeet Ray ne Hindi me film banane kee sochi to unhone aur kisi aur khaani ko na chunkar Premchand ki khaanhi SHATRANJ K KHILARI aur SADGATI ko chuna. Premchand ke sahitya ko yadi vastavik sahitya khaa jaye to ek aana bhi ghalat na hoga kyonki vastvik sahitya use ko khaa jaata hai jo samaaj ko uskee haqiqat se Ru Ba Ru karvaye aur Premchand ke sahitya ne samaaj ko jo darpan dikha diya hai shayd hee uskee koi misaal ho.Premchand ne apne novels aur khaaniyon ke madhyam se hme btaya ki jis samaj per hme abhimaan hai usi samaaj “halku,dukhee , hamid,ameena,nirmala,prema aur na  jaane kitne in jaise log bhi nivaas karte hai” premchand k sahitya kee sabse badi visheshta yah thee ki premchand ka sahitya samaaj se baat karta hua nazar ataa hai kyuki aaj bhi hmare samaj me “dukhee,halku aur ameena” jaise logo kee koi kami nhi hai aur jab inke sahityaka filmantaran hota hai to jo vastavikta pad kar dil ro jaata hai use dekhkar aansoo bhi laal hona chahte hai.Satyajeet Ray k atirikt Gulzar AUR mrinal Sen bhi premchand sahitya ka filmantaran kiya hai jo apne aap me hee bhut mahaan hai. Premchand pahle ‘navaab dhanpat rai’ kenaam se likhte the aur baad me unhone ‘premchand’ k naam se likhna shuru kar dia aur hmesha usi naam se likha.Premchand jitney Hindi k hai utne heeUrdu ke bhi.AUR aJ bhi jab premchand k Sahitya par kisi film ka nirman hota hai to uska mhatv khi per se kam hota nhi dikhai deta hai. 8 october 1936 ko matr 56 varsh kee age me is mahaan sahityakaar ka nidhan ho gya.lekin premchand apne sahitya ke madhyam se aaj bhi zinda hai.

Monday, April 6, 2015

ABHINAY KE JAADUGAR ' NASEER AUR SHABANA'

Filmo me abhinay ka bhi apna mahatv aur prabhav hota hai.Vastav me abhinay karna bhi ek bhut hee shaandaar art hai, jise har vyakti nhi anjaam de sakta.Hindi Cinema me bhut se aise bhi abhineta hai  jinse achche abhinay kee ummeed ki jaati rahee hai ki vo achcha abhinay kar ke dikha de lekin bhut hee afsos ki baat ye hai ki un abhinetao ko abhinay ka A aur B bhi nhi maloom hai kyonki  abhinay vo art hai jo sabke bas kee baat nhi hai. Iske atirikt jab kabhi achche abhinay ka itihaas likhaa jayega to vo itihaas SHABANA AZMI aur NASEERUDDIN SHAH ke bina poora nhi hoga kyonki in dono ke abhav me abhinay k itihaas per baat kee hee nhi jaa sakti hai.Dono ne kai filmo me saath kaam kiya hai. Jisme MANDI aur PAAR bhut hee pramukh hai.Mandi me jo Tungrus aur Rukmini Bai ka jo role play kar dia hai shayd hee vo role koi kar sakta? In dono ke abhinay kee sabse badi khoobi ye hai ki dono apne kirdar ko screen per jeene lagte hai.Tabhi inka abhinay jeevant mahsoos hota hai aur in dono ke abhinay ka sabse behatreen udharan hai inke duara kiya gya film PAAR ka abhinay aur usme bhi “jaanvaro ko nadee paar karane me dono ne jo abhinay kar dia hai vaisa abhinay shayd hee koi doosra abhineta aur abhinetri kar sake”aur itihaas me is abhinay ko hmeshaa hee yaad kiya jayega kyonki us scene ko dekhker aisa mahsoos hota hee nhi hai ki vo koi film ka scene hai balki aisa prateet hota hai ki vo koi vastvik scene dekh rhe hai aur usme jo chere k bhaav diye hai unhe to kabhi bhi bhulaya hee na ja sakta hai kyonki vo abhinay NASEER aur SHABANA ka hai.

Sunday, April 5, 2015

EK PAHCHAAN 'SOHRAB MODI'

Hindi Cinema me aise-aise bade kalakaar hue hai jo ek umda actor k saath ek behatreen directer bhi the.Bhale hee aaj kee peedi unki pahchaan se parichit na ho phir unka ek bhut hee mahatvpud sthaan hai.Inhee naamo me se ek mahaan naam hai Sohrab Modi ka jo apnee filmo k director k saath uske actor bhi hote the.Sohrab Mdi ne kai etihaasik filme banaai hai jisme “Jhansi Ki Rani ek bhut hi mahatvpud film hai,Sohrab Modi k bare me khaa jataa tha ki jis film me vo acting karte the to us film ke anya actors ki acting unki acting k saamne pheeki see pad jaati thi.Vaastav me modi  ek prayogkarta director the aur  laghbhag apnee har film me acting karte the jaise “khoon ka khoon,razia sultan,kundan, hamlet aur jelar.Sohrab Modi ko yadi kisi abhineta ne braber ki takker di ya unse bhi achcha abhinay kiya vo the Prithvi Raj Kapoor jinhone SIKANDER me Sikander ka role play kiya tha aur Modi ne PORUS ka. Modi ki film Sikander ki sabse badi khasiyat thi use bhavya sets aur isee film ko modi ki sabse behatreen film bhi manaa jataa hai.Modi ne mook filmo se apne carior ki shuruat ki aur saath me Natako me bhi abhinay kiya.Modi svabhaav k bhut hee shaant vyakti hone k saath apne kaam k prati bhut hee imaandaar the aur khoob mehnat ksaath apne kaam ko anjaam dete the aur shayd isi vagah se unhe Bharat ka CEECIL B DEMAIL bhi kahaa jaata hai.Unka filmy safar 50 saal ka hai. 2 november 1897 ko janme Modi  ne 28 january 1984 ko is sansar se hamesha k liye alvida kah dia.Sohrab Modi ko unke kaam ko dekhte hue 1980 me unhe DADA SAHEB PHALKE award se sammaanit bhi kiya gya hlaaki 2005 me vo award unke ghar se chori ho gya.

Saturday, April 4, 2015

YAAD DILAATI....

Ritesh batra ki 2013 me release hui film THE LUNCHBOX yaqinan bhut hee umda film hai.khaastour se is film ka Direction,Screenplay aur Abhinay to bhut hee shaandar hai jiskee jitnee tareef ki jaye utni kam hai lekin dhyan jab iski story ki taraf jaata hai to iski story kee hee vajah se englis ki ek short story ki yaad aa jaati hai. Jiski kahaani hai ki “ek bees saal ka javaan ladka ki London ki ek 60 saal ki aurat se letter writing karta hai lekin ladke ko ye baat nhi maloom hoti hai ki aurat ki age itni zyada hai, vo to bas letter writing per hee dhyaan deta hai aur ye letter writing 20 varsho tak chalti hai aur ek din ek durghatna me aurat mar jaati hai aur uski saheli us ladke ko aurat k bare me sab bataati hai saath me uska ek photo bhi bhejti hai.story yhi par khatm ho jaati hai.” Ritesh batra ki The Lunchbox beshak ‘PEN PAL’ ki story se bhut zyada inspire thi.bas Ritesh Batra ne film me ladke ko boodha dikhaya hai aur ladki ko javaan aur iske saath ek aur yaqeen na karne vaali cheez bhi dikhai hai ki LUNCHBOX ghalat address par jata hai aur is baat par shayd hee koi yaqeen kre? Lekin film hone ki vajah se is baat ko bhi ek pal k liye maana ja sakta hai.In sabke bavjood bhi The Lunchbox ko ek kaafi achchee Film ki shredin me rakha ja sakta hai.The Lumchbox apne aap me hee bhut hi shandaar film hai.Is film ki ek aur badi khasiyat ye hai ki is film ko videshon me bhi khoob pasand kiya gya khastour se EUROPR k France me is film ne jamkar tareefe batori aur bharat me tokuch film k jaankaro ne yha tak kaha ki THE LUNCHBOX dekhne me ek  frentch film k jaisi lagti hai.

Friday, April 3, 2015

HAQIQAT DARSHATA SAMVAAD

Anand Gandhi  ki Film ‘SHIP OF THESEUS’ ko Bhartiya Cinema  ki bhut hee shandaar filmo me rkha ja sakta hai. Is film me  jo cheeze  dikhai gai hai ya jis art se ise dikhaya aur bnaya gya hai us per alag se bhut lambi-choudi bat ki ja sakti hai lekin Film ki sabse zyada prabhaav shaali cheezo me se ek hai ye samvaad “SALA KIDNEY KA RATE 30 HAZAAR CHAL RHAA HAI AUR MUJHE POORE 6.50 LAKH RUPAYE MIL RAHE HAI AUR ISKE SATH AAGE KA BHI KHARCHA MILEGA,MUJHE AB KIDNEY KI KOI ZROORAT NHI HAI,MUJHE KIDNET NHI CHAHIYE.” Ship of thesis ka ye samvaad ek aise DESH me bola ja rhaa hai jo aane vale samay me ek Mahashakti banne ja  rha hai. Aur usi Desh ke samaj ki haqiqat ko ye samvaad dikha rhaa hai.Is Desh k samaajme nivaas karne vaala har dusra vyakti yhi baat kahta hai ki MERA DESH DUNIYA KA SABSE MAHAAN DESH hai.kya hmaari yhi mahaanta hai ki vartmaan samay me bhut hee tezi k sath GHARIBI aur BEROZGAARI badh rahi hai aur jo khatm hone ka naam hi na le rhi hai.
Ship of thesis ka ye samvaad  ham eek aise samaaj k darshan  karva rhaa hai jo kitneei gharibi aur bebasi me jivan ko jee rhahe hai.Aur jo dhan se kitne zyaada door hai aur har roz apna aur apne parivar ka pet bharne k liye zindigi se kis prakar ki jang kar rhe hai.Anand Gandhi ne is samvaad k madhyam se is bat ko bhut hee achchi tarah se dikhaya hai ki ‘ek to vo log hote hai jo ye baat sochte hai ki rupaye kha aur kaise kharch karne hai Aur doosre vo log hote hai jo ye baat sochte hai ki Aaj Ka To Pet Bhar Gya Kal Ka Kya Hoga’Isi bat ko ye samvaad darshata hai.